Woh suhane lamhe ab bhulaye nahi jate,
Yaado k parinde yu hi udaaye nahi jate,
Woh chhat par aana wo julfe lehrana,
Sabhi pegaam likhkar bataye nahi jate,
Woh bahana, saheli k ghar padne jana,
Gali k chakkar ab aise lagaye nahi jate,
Wo aangan mein aakar angithi jalana,
Purane bahane to ab banaye nahi jaate,
Mohalle ki shadi me saj-sanvar kar jana,
Humesha toh ye jalwe dikhaye nahi jate,
Woh kisi kone me chup kar aansu bahana,
Aise ehsaas toh “Meet” karaye nahi jate.
No comments:
Post a Comment