Log Phoolon sey mohabbat kartey hain,
kaaton ko kis ney yaad kiya,
hum kaaton sey mohabbat kartey hain,
kyun k Phool ney hamain barbaad kiya
Phool ki shuruvat kali se hoti hai,
Zindagi ki shuruvat pyar se hoti hai,
Pyar ki shuruvat apno se hoti hai aur
apno ki shuruvat aapse hoti hai.
Beetay pal wapas la nahi sakte
Sukhe Phool wapas khila nahi sakte
Kabhi kabhi lagta hai aap hamein bhul gaye
par dil kehta hai k aap hamein bhula nahi sakte.
Phool juda hai kanton se, Khushbu se nahi,
Hum juda hai unse, Magar dil se nahi.
Aik din bahroon k Phool murjha jayeenge,
jab bhule se kabhi hum yaad aayeenge,
ahsas hoga tumhein humari dosti ka jab,
dur bahat dur hum tum se chale jayeenge!
Sari Umer Me Ek Pal B Aram Ka Na Tha
Wo Jo Dil Mila Kisi Kam Ka Na Tha
Kaliya Khil Rai Thi Har Gul Tha Taza
Magar Koi Bhi Phool Mere Nam Ka Na Tha.
Bagair Jane Pahechane Ikrar Na Kijiye,
Muskura Kar Diloko Bekrar Na Kijiye,
Phool Bhi De Jate Hai Zakham Gahere Kabhi Kabhi,
Har Phul Par Yu Aaitbar Na Kijiye.
Phool Khilte Rhe App ke Zindagi Ke Rahon Mai,
Hasi Chamakti Rhe App ke Nigahoo Mai,
Kadam Kadam Per Mile Khushi App ko,
Dill Deta Hai Yehi Dua Baar Baar App ko.
No comments:
Post a Comment