Tuesday, September 26, 2017

Main bhi padhne jata toh...Hindi Poems Poetry...

Main bhi padhne jata toh kitna achha hota..
Kuchh ban kar main bhi dikhata to kitna achha hota.

Agar gareebi naa hoti itni humare desh mein..
Mujh jaisa har bacha bhar pet khana khata to kitna achha hota..

Apne umar ke bacho ko jab befikar khelte dekhta hu..
Kash mai bhi majduri na karke aise hi khelta to kitna acha hota..

Maa baba jab meri ek khwahish ke liye ek duje ka muh dekhte hai
Toh sochta hoon main paida hi na hua hota to achha hota..

Jab maa ko bhukhe pet sona padta h hume rukhi sukhi khila kar..
Toh sochta hu main koi bada aadmi ban jata toh achha hota.

No comments:

Post a Comment