Maa Phele Aanso Aate The Aur Tum Yaad Aati Thi,
Aaj Tu Yaad Aati Hai Aur Aaso Nikel Aate Hai Maa.
Maa Baap Ke Aankon Me Do Baar Aaso Aate Hai,
Ladki Ghar Chode Tab Aur Ladka Muh Mode Tab.
Ek Maa Pathar Ubalti Rahi Raat Bhar,
Bachee Fareb Kha Ke So Gaye.
Neend Apni Bhula K Sulaya Hum Ko Aanson Apnay,
Gira K Hansaya Hum KoDard Kabhi Na Dena Un,
Hastiyon Ko Allah Ne Maa Baap Banaya Jinko.
Tere Bina Main Ye Duniya Chhod To Du,
Pr Uska Dil Kaise Dukha Du Jo Roz Darwaze Pr Khadi Kehti Hai,
Beta Ghar Jaldi Aa Jana.
Umar Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmatgar Rhi,
Main Teri Khidmat Ke Qabil Jb Howa Tu Chal Basi maa.
Kabhi Maa Ko Na Dekhu To Chain Nahi Aata Hai,
Dil Na Jane Kyu Maa Ka Naam Sochte Hi Behel Jata Hai,
Kabhi Muskra De To Lagta Hai Zindgi Mil Gayi Mujhko Nayi,
Kabhi Dukhi Ho To Dil Mera Bhi Dukhi Ho Jata Hai.
Maa Teri Yaad Satati Hai, Mere Paas Aa Jaao,
Thak Gaya Hoon, Mujhe Apne Aanchal Mein Sulao,
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao !!!
MAA tab bhi roti thi jab beta pet me laat maarta tha,
MAA tab bhi roti thi jab beta gir jaata tha,
MAA tab bhi roti thi jab beta bukhaar ya sardi me tadapta tha,
MAA tab bhi roti thi jab beta khaana nahi khaata tha,
Aur MAA aaj bhi roti hai Jab beta KHAANA nahi deta.
Maa Teri Yaad Satati Hai, Mere Paas Aa Jaao,
Thak Gaya Hoon, Mujhe Apne Aanchal Mein Sulao,
Ungliyaan Apni Pher Kar Baalon Mein Mere,
Ek Baar Phir Se Bachpan Ki Loriyaan Sunaao.
Gutno Se Rengate Rengate Kab Pairon Par Khaad Huaa,
Teri Mamta Ki Chhav Mein Jaane Kab Bada Huaa,
Kala Teeka Doodh Malayi Aaj Bhi Sab Kuchh Vaisa Hai,
Main Hi Main Hu Har Jagah Pyar Yeh Tera Kaisa Hai,
Seedha Sadha Bhola Bhala Main Hi Sabse Achha Hu,
Kitna Bhi Ho Jaau Bada Maa Main Aaj Bhi Tera Bachha Hun.
No comments:
Post a Comment